Tuesday, 2 February 2016
Manzeele bhi uski thi aur raasta bhi us hi ka tha,
Ek main akela tha kafeela bhi us hi ka tha,
Saath saath chalne ki soch bhi us hi ki thi,
Phir raasta badalne ka faisla bhi usi ka tha,
Aaj kyun akela hoon dil sawaal karta hai,
Log to uske the kya khuda bhi us hi ka tha?
To Khuda ne kaha:
Use yaar banaane ki galti teri thi,
Us par yakeen karne ka khayaal bhi tera tha,
Use kyun gham hoga tere jaane ka,
Sacha pyaar uska nahi, sacha pyaar to tera tha!
Mai rona chahta hu
Kahin khud ko chhupakar iss duniya se
Dubkar kahin dur dard ki gehrai me , tere pyar ki
Aapne aap se kuch kehna chahta hu
Mai rona chahta hu…..
Paakar khud ko akela
Sunkar iss dil ki pukar
Jis tarah se m seh pata hu
Vahin dekh kar iss bheed ko
Mai chup sa hi jata hu
Bin tere iss safar me
Mai khud hi keh jata hu
Mai rona chahta hu…..
Sapno ne dhoka diya
Jo khawabo ka sath diya
Bas gye the tum jisme
Arso pehle
Sunkar ab us dil ki majburiyaan
Aankhon se kuch kehna chahta hu
Mai rona chahta hu…..
Unn beete lamho ko bhulakar
Basakar tujhe in aankhon me
M phir se seham sa jata hu
Kyon ki
Ho jati h sikayat in aankhon ko dil se
Jo m keh pata hu
Mai rona chahta hu……..
Aaj itni he
bakee phir kabhi
Rulaane waale to sabhi mile
Aansu ponchne waala na mila
Mere dil ko thi jis ki tamanna
Woh mann chaaha na mila
yun t0u dunia girne wal0n k0 uthane ki baat karti h,
…jab mei gira t0u k0i uthane wala na mila,
kehte hain ye “PYAR KA JAHAN” h “PYAR KI DUNIA” h,
jab mei ne pyar kiya t0u nibhane wala na mila.
Dard-o-gham ke siva ishq mein kya mila, Kuch nahi
Jo tha kho baitha haasil hua, Kuch nahi..
Maine likh ke bheja tha kya lagta hoon tera
Usne likh ke bhej diya, Kuch nahi..
Maine kaha ruk ja mar jaunga tere bin
Woh aise chal diya jaise suna, Kuch nahi..
Aj ek buzarg ki aankhein bhar aayi meri hatheli dekh kar
Phir usne kaha teri lakeeron mein hi likha, Kuch nahi..
Subscribe to:
Posts (Atom)